koi izhaar-e-gham-e-dil ka bahana bhi nahin ho bahana bhi jo koi to zamana bhi nahin zindagi tujh ko jo samjha hun to itna hi faqat tu haqiqat bhi nahin aur fasana bhi nahin khamushi fikr ka mamba bhi hai aur baat ye hai saf-goi ka azizo ye zamana bhi nahin ek khazana tha mera 'josh'-malih-abaadi ab to 'azad' wo hathon mein khazana bhi nahin aaj ke daur mein 'azad' ghanimat hai bahut tum use yaad na rakhna to bhulana bhi nahin