main dil mein un ki yaad ke tufan ko pal kar laya hun ek mauj-e-taghazzul nikal kar paimana-e-tarab mein kahin baal aa gaya main garche pi raha tha bahut hi sambhaal kar mahfil jami hui hai teri rah mein koi ai gardish-e-zamana bas itna khayal kar aazad jins-e-dil ko faqat ek nazar pe bech sauda giran nahin na bahut qil-o-qal kar khat ke jawab mein na laga itni der tu mera agar nahin hai to apna khayal kar kyun main ne dil diya hai kise main ne dil diya ai aql aaj mujh se na itne sawal kar ai dil ye rah-e-ishq hai rah-e-khirad nahin is par qadam badha tu zara dekh bhaal kar phir ishq bazm-e-husn ki jaanib rawan hai aaj diwangi ko aql ke sanche mein dhaal kar 'azad' phir dakan ka samundar hai aur tu le ja dil o nazar ka safina sambhaal kar