koi jab mil ke muskuraya tha aks-e-gul ka jabin pe saya tha zakhm-e-dil ki jalan bhi kam thi bahut git aisa saba ne gaya tha shab khuli thi bahaar ki surat din sitaron sa jagmagaya tha aise sargoshiyan thin kanon mein koi amrit ka jam laya tha khwab konpal bhi thi tar-o-taza aarzu ne bhi sar uthaya tha jis ne mashur kar diya tha 'farah' ek jadu sa ek chhaya tha