ai sitam-azma jafa kab tak kushta-e-zindagi wafa kab tak garmi-e-koshish-e-jafa kab tak dawa-e-shohrat-e-wafa kab tak ai dil-e-zohd-khu riya kab tak na-muradana muddaa kab tak ek mein mil gaya khuda mara yun nibahega dusra kab tak imtihan par ye imtihan ta-chand aazma aazmaega kab tak hasrat aaegi dam mein sau sau bar ai hawas shor-e-marhaba kab tak qudrat-e-sabr aaqibat kitni jurat-e-taqat-azma kab tak tum samajh jao meri khamoshi na kahun kahiye muddaa kab tak kijiye ab mere nibah ki fikr yar sabr-e-gurez-pa kab tak khwab mein bhi wo aaenge ta-chand main mila bhi to yun mila kab tak dil mein kab tak tumhaare khatkunga chashm-e-dushman mein meri ja kab tak tandurusti-e-dil hai be-jaani dard-e-be-dard ki dawa kab tak tark ki saf us ne goyai nargis-e-surma-sa khafa kab tak ai dil-e-be-qarar-o-be-aram nala ta-chand ta-kuja kab tak ai 'qalaq' wasl mein bhi hun nashad tala-e-na-rasa rasa kab tak