koi jugnu koi dipak kiran ho ya sitara ho safar mein raat aa pahunchi koi to ab hamara ho kisi ke ishq ka naghma hamare lab pe bhi gunje koi to nam le kar ab hamara bhi pukara ho kisi ke hath aise hon jo mujh ko tham sakte hun mujhe har ek laghzish par sada jis ka sahaara ho koi to subh aisi ho ki jab main nind se jagun meri pahli nazar ko bas wahi chehra nazara ho kabhi socha hai mumkin hai jise tum bewafa samjhe wahi ladki zamane mein wafa ka istiara ho teri palkon ki chaukhat se jo aansu chun liya main ne wo ek aansu wahi jugnu mujhe har shai se pyara ho bhanwar panw se uljhe hain magar dil ki talab ye hai mere jiwan ki naw ka tera sangam kinara ho main kachchi nind se jagi na jaane aaj phir kaise koi us par se shayad mujhe phir se pukara ho junun-e-ishq mein 'iman' faqat itna parakh lena jise jugnu samajhti hun khabar kya wo sharara ho