koi kafir hamein samjhe ki musalman samjhe hum to ai ishq tujhe hasil-e-iman samjhe lakhon masle hue ghunche nahin dekhe hum ne chand hanste hue phulon ko gulistan samjhe khud-ba-khud waqt pe ho jate hain saman kyunkar kuchh jo samjhe to hamein be-sar-o-saman samjhe dawat-e-am hai ek rah-e-wafa hai main hun wo mere sath chala aae jo aasan samjhe baghban ki mere sahab-nazari kya kahna phul gulshan pe hanse aap bahaaran samjhe hans ke mil lete hain ahbab yahi kafi hai kis ko fursat ki kisi ka gham-e-pinhan samjhe ghuncha-o-gul ke tabassum ki haqiqat kya hai pahle kanton se guzar jae to insan samjhe wo zamane mein khushi pa nahin sakte 'shaarib' aansuon ko jo ilaj-e-gham-e-dauran samjhe