zinda hon is jahan mein aakhir koi jawaz in bastiyon ka khwab jo ab tak basin nahin tum shokh ho to pyar bhi mera sharir hai han han mere liye hai tumhaari nahin nahin dil ho ki sar yahan to sarapa-e-dard hain aisa nahin ki dard kahin hai kahin nahin elan-e-haq-shiar bhi hai phir gila bhi hai nafrin har kahin hai kahin aafrin nahin ki umr ne wafa to inhon ne wafa na ki dil mein jo aarzuen kabhi thin rahin nahin paspai pahle hi tera maqsum hai agar tujh ko masaf-e-zist mein ye angbin nahin qariyon ke satr-posh junun ko salam-e-shauq daman nahin hai jeb nahin aastin nahin in dostan mein mashk-faroshan mein mast hun khalwat mein aa ke bhi jo mere aib-chin nahin