koi kaman-o-tegh-o-sipar de ai maula aahon mein bhi ek asar de ai maula ya to duniya ko bhi shishe ka kar de ya phir mujh ko patthar kar de ai maula rahne ko pardon mein rah lungi lekin bandon ko bhi pak nazar de ai maula in pariyon ko hajat hai ab khanjar kei chahe un ke pankh katar de ai maula din bhar dar ke andhiyaron ke sae hain sach-much kei bhi ek sahar de ai maula pyar mohabbat khub diya maula tu ne ladne ka bhi ek hunar de ai maula