minnaten karta tha ruk jao mera koi nahin mere roke se magar kaun ruka koi nahin dost mashuq sanam aur khuda koi nahin main to sab ka hun par afsos mera koi nahin ab to lazim hai ki wo shakhs mera ho jae ab to duniya mein mera us ke siwa koi nahin umr bhar sath nibhane ka ye wada hae umr bhar sath bhala koi raha koi nahin mere maula ye tere sat arab logon mein koi bhi mera nahin hai ba-khuda koi nahin bewafai ko bada jurm batane wale yaad hai tu ne bhi chal chhod hata koi nahin main bhi qail hun teri chaaragari ka lekin ek maraz aisa bhi hai jis ki dawa koi nahin