koi khabar bhi na bheji bahaar ne aate ki hum bhi qismat-e-mizhgan sanwarne aate phir aarzu se taqaza-e-rasm-o-rah hota nigah pe qarz the jitne utarne aate ye zindagi hai har ek pairahan mein sajti hai nahin thi jit nasibon mein haarne aate koi sharar koi khushbu ki dil na bujh jae kisi bhi nam se khud ko pukarne aate abhi yahan to nahin ho saki hikayat-e-jaan nae waraq pe nae naqsh ubhaarne aate kabhi ghubar kabhi naqsh-pa-e-rah-rawan wo rahguzar thi ki har rup dhaarne aate mera sukun bhi mere aansuon ke bas mein tha ye mehman meri duniya nikhaarne aate jo hum nahin to sar-e-rah-guzar-e-dard 'ada' wo kaun the jo dil-o-jaan ko warne aate