koi sang-e-rah bhi chamak utha to sitara-e-sahari kaha meri raat bhi tere nam thi use kis ne tira-shabi kaha mere roz o shab bhi ajib the na shumar tha na hisab tha kabhi umr bhar ki khabar na thi kabhi ek pal ko sadi kaha mujhe jaanta bhi koi na tha mere be-niyaz tere siwa na shikast-e-dil na shikast-e-jaan ki teri khushi ko khushi kaha koi yaad aa bhi gai to kya koi zakhm khil bhi utha to kya jo saba qarib se ho chali use minnaton ki ghadi kaha bhari dopahar mein jo pas thi wo tere khayal ki chhanw thi kabhi shakh-e-gul se misal di kabhi us ko sarw-e-samani kaha kahin sang-e-rah kahin sang-e-dar ki main pattharon ke nagar mein hun ye nahin ki dil ko khabar na thi ye bata ki munh se kabhi kaha mere harf harf ke hath mein sabhi aainon ki hain kirchiyan jo zaban se ho na saka 'ada' ba-hudud-e-be-sukhani kaha