koi khwab tha jo bikhar gaya koi dard tha jo thahar gaya magar is ka koi bhi gham nahin jo guzar gaya so guzar gaya ye dil-o-nazar ka moamla bhi bahut ajib-o-gharib hai kabhi in labon pe hansi rahi kabhi ashk aankh mein bhar gaya main zaban se kuchh bhi na kah saka wo nazar se kuchh na samajh saka na mere hi dil se jhijak gai na to us ke dil se hi dar gaya kabhi tujh se bhi na sambhal saka kabhi mujh se bhi na sambhal saka tera aaina bhi bikhar gaya mera aaina bhi bikhar gaya tujhe hoga us ka malal kya mujhe hoga us ka khayal kya tere husn se bhi kashish gai mere ishq se bhi asar gaya wo hasin chehron ki bhid thi ki nazar bhatakti hi rah gai teri justuju ka nasha tha jo kisi mod par wo utar gaya ye jo rang-e-fikr-o-khayal hai ye teri nazar ka kamal hai tera husn tha koi aaina jise dekh kar main sanwar gaya