kis darja mere shahar ki dilkash hai faza bhi manus har ek chiz hai mitti bhi hawa bhi dekho to har ek rang se milta hai mera rang socho to har ek baat hai auron se juda bhi yun to mere haalat se waqif hai zamana lekin mujhe milta nahin kuchh apna pata bhi sae ki tarah sath raha karta hai ek shakhs saya ki hua karta hai apnon se juda bhi phir zakhm-e-tamanna ke nae phul khile hain khushbu teri le aai hai phir mauj-e-saba bhi har aan badalti hui duniya hai ye 'nadir' yan dil ke lagane ki nahin hai koi ja bhi