koi kisi se khush ho aur wo bhi barha ho ye baat to ghalat hai rishta libas ban kar maila nahin hua ho ye baat to ghalat hai wo chand rahguzar ka sathi jo tha safar tha moajiza nazar ka har bar ki nazar se raushan wo moajiza ho ye baat to ghalat hai hai baat us ki achchhi lagti hai dil ko sachchi phir bhi hai thodi kachchi jo us ka hadisa hai mera bhi tajraba ho ye baat to ghalat hai dariya hai bahta pani har mauj hai rawani rukti nahin kahani jitna likha gaya hai itna hi waqia ho ye baat to ghalat hai ye yug hai karobari har shai hai ishtihaari raja ho ya bhikari shohrat hai jis ki jitni itna hi martaba ho ye baat to ghalat hai