nahin aasan kisi ke waste takhmina mera muqarrar hai dayar-e-ghaib se rozina mera dam-e-rukhsat agar main hausle se kaam leta palat kar dekh sakta tha use aaina mera hadaf ban paengi aankhen na mere dushmanon ki muqabil hai khadang-e-khwab ke ab sina mera pada rahta hun kunj-e-afiyat mein sar chhupa kar guzar jata hai yun hi sabt aur aadina mera budhapa chha raha hai mere har jazbe pe lekin jawan hota chala jata hai phir bhi kina mera badal sakta tha mere shahr ka aahang 'sajid' agar tartib pa sakta kabhi sazina mera