koi maidan na jita ishq ka farhad ke aage kasu ne dam na mara tesha-e-faulad ke aage gae daude na aakhir hazrat-e-yaqub kanan se zamin nape pidar bhi husn-e-madar-zad ke aage akela kyunki lagta bastiyon mein dil bichaare ka na hota naqsh shirin ka agar farhad ke aage agar dhadka ho jannat mein to bad-tar hai jahannum se hamein gul khar sa lagta hai us sayyaad ke aage 'yaqin' us qad ke aage is tarah se sarw ruswa hai darakhtan-e-bayabani hain jun shamshad ke aage