koi majnun koi farhad bana phirta hai ishq mein har koi ustad bana phirta hai jis se tabir ki ek int uthai na gai khwab ke shahr ki buniyaad bana phirta hai pahle kuchh log parindon ke shikari the yahan ab to har aadmi sayyaad bana phirta hai dhup mein itni suhulat bhi ghanimat hai mujhe ek saya mera ham-zad bana phirta hai bagh mein aisi hawaon ka chalan aam hua phul sa hath bhi faulad bana phirta hai naqsh-bar-ab to hum dekhte aae lekin naqsh ye kaun sa barbaad bana phirta hai