tasawwur mein koi aaya sukun-e-qalb-o-jaan ho kar mohabbat muskuraati hai bahaar-e-jawedan ho kar chaman mein jab kabhi jata hun un ki yaad aati hai tamanna chutkiyan leti hai pahlu mein jawan ho kar dil-e-wahshat-asar ko hosh jab aaya to dekha hai hawa ke dosh par udta hai daman dhajjiyan ho kar sanobar sa hai qad nargis si aankhen phul sa chehra wo mere samne phirte hain aksar gulistan ho kar sharab-o-sher-o-naghma ke siwa kya chahiye 'faizi' bala se zindagi jae mata-e-raegan ho kar