koi malal hun dukh hun batao kya hun main dinon ke baad kisi shakhs ko dikha hun main ye kaun palta phirta hai hijr ka aaseb mujhe bataya gaya tha ki mar chuka hun main jigar ke hath lapakte hain aankh ki jaanib kuchh aisi tarz se girya-kunan hua hun main kabhi kabhi meri aankhen jawab deti hain kabhi kabhi tujhe itna sawalta hun main kisi ke ashk mere gal chhu ke girte the kisi ke qurb mein itna bhi rah chuka hun main tumhaara hijr mere sath rahna chahta hai use batao ki is se bahut bada hun main bahisht phenk chuki hai zamin par mujh ko khuda ka shukr tujhe ras aa gaya hun main