kuchh bholi aur kuchh tikhi aawazen hain jaise chehre hain waisi aawazen hain ek tathir se aari jism ka pursa hain khauf mein lipti jitni bhi aawazen hain chaaron-jaanib ghor andhera hai jis mein aathon jaanib sunne ki aawazen hain aisa mahw hun khamoshi ko sunne mein mano mujh se pahle ki aawazen hain ghur raha hun kanon ki virani ko chikh raha hun kya gungi aawazen hain itni wahshat tari hui ki bhul gae ye to apni imdadi aawazen hain chaunk raha hun mere viran kamre mein koi nahin hai phir kaisi aawazen hain aawazon ka jamna is se sabit hai jaise hum khamoshi ki aawazen hain dost hamare pas izafi kuchh bhi nahin marti siskiyan hain dabti aawazen hain