koi manjdhaar na dhaara hai khuda khair kare aaj kyon pas kinara hai khuda khair kare phir nasheman ko sanwara hai khuda khair kare barq ki aankh ka tara hai khuda khair kare dekhen laut aati hai aawaz ki milta hai jawab dil ne phir tujh ko pukara hai khuda khair kare hosh pane ka nahin dil ki jo pani mange zulf-e-shab-rang ka mara hai khuda khair kare zehn apnae hue fikr pe wo chhae hue ghar na saman hamara hai khuda khair kare ho gaya dard siwa kya hua be-dard ko aaj shikwa-e-dard gawara hai khuda khair kare ab gareban hi salamat hai na daman baqi phir bahaaron ne pukara hai khuda khair kare ek fusun-kar hai ghaarat-gar-e-hosh-o-tamkin jis ne shishe mein utara hai khuda khair kare khirman-e-zabt-o-sukun tera khuda hafiz hai jalwa-e-yar sharara hai khuda khair kare dekhiye kya ho ki aamada-e-fariyaad hai dil ab na kuchh zabt ka yara hai khuda khair kare kal jien ya na jien aaj tere jaane par waqt mar mar ke guzara hai khuda khair kare karwaten waqt badalta hai utho chaaragaro kab se bechaargi chaara hai khuda khair kare kitne isa hain jo is daur mein dete hain jawab phir salibon ne pukara hai khuda khair kare phir koi ban ke mehrban na kare is pe nazar gham ko hans hans ke nikhaara hai khuda khair kare zindagi yaad se teri na ho ghafil ai dost ab yahi ek sahaara hai khuda khair kare kya mile dil ki nazar bhi nahin milti 'amir' husn khud-bin-o-khud-ara hai khuda khair kare