abr chhaya na koi abr barasta guzra ab ke sawan bhi kadi dhup mein jalta guzra ya sar-e-rah kabhi tut ke tare barse ya kisi chand ka bujhta hua saya guzra hum jalate rahe har-gam mohabbat ke charagh wo rah-o-rasm ki har shama bujhata guzra hum guzar jate hain har dur se aise jaise ek aansu kisi chehre se dhalakta guzra sochta hun ki badalne pade kitne chehre zindagi guzri hai apni ki tamasha guzra jada-e-umr 'atash' panw ki gardish thahri dasht simta na kabhi daman-e-sahra guzra