koi manzar bhi suhana nahin rahne dete aankh mein rang-e-tamasha nahin rahne dete chahchahate hue panchhi ko uda dete hain kisi sar mein koi sauda nahin rahne dete raushni ka koi parcham jo utha kar nikle is tarah dar ko zinda nahin rahne dete kya zamana hai ye kya log hain kya duniya hai jaisa chahe koi waisa nahin rahne dete kya kahen dida-waro hum to wo dariya-dil hain kabhi sahil ko bhi pyasa nahin rahne dete rahzanon ka wahi manshur hai ab bhi 'farigh' sar-kashida koi jada nahin rahne dete