kuchh ab ke bahaaron ka bhi andaz naya hai har shakh pe ghunche ki jagah zakhm khila hai do ghunt pila de koi mai ho ki halahil wo tishna-labi hai ki badan tut raha hai us rind-e-siyah-mast ka iman na puchho tishna ho to makhluq hai pi le to khuda hai kis baam se aati hai teri zulf ki khushbu dil yaadon ke zine pe khada soch raha hai kal us ko tarashoge to pujega zamana patthar ki tarah aaj jo rahon mein pada hai diwanon ko sauda-e-talab hi nahin warna har sine ki dhadkan kisi manzil ki sada hai