koi manzar ho aankhon ko bahut achchha dikhata hai mohabbat mein ye dil sahra chaman jaisa dikhata hai badalta kuchh nahin hai ishq mein mausam guzarte hain hamein to aaina ab tak wahi chehra dikhata hai kabhi bagh-e-tamanna mein ek aisa phul khilta hai purane ped paudon ko jo phir taza dikhata hai bhatakne ke liye hum khwab se bahar nikalte hain koi aakar hamein phir khwab ka rasta dikhata hai tum aisi mauj mein ho jo palat kar aa nahin sakti hamein girdab apne pher mein kya kya dikhata hai