main nashat-e-dard ko bar bar pukarna nahin chahta jo guzar rahi hain ye saaten ye guzarna nahin chahta yahi bikhri bikhri si kaenat abhi to mera jahan hai abhi apni zulf-e-khayal ko main sanwarna nahin chahta abhi dhundle dhundle nuqush mein koi chandni hai rawan dawan abhi chehra-e-pas-e-zulf ko main ubhaarna nahin chahta ajab uljhanen hain qadam qadam pas-e-ishq bhi sar-e-aql bhi koi jitna nahin chahta koi haarna nahin chahta