koi manzil nahin milti to thahar jate hain ashk aankhon mein musafir ki tarah aate hain kyun tere hijr ke manzar pe sitam dhate hain zakhm bhi dete hain aur khwab bhi dikhlate hain hum bhi in bachchon ki manind koi pal ji len ek sikka jo hatheli pe saja late hain ye to har roz ka mamul hai hairan ho kyun pyas hi pite hain hum bhuk hi hum khate hain har bada bachchon ko jine ki dua deta hai hum bhi shayad isi wirse ki saza pate hain subh le jate hain hum apna janaza ghar se sham ko phir ise kandhon pe utha late hain shahr ki bhid mein kya ho isi khatir 'azar' apni pahchan ko hum ghar mein hi chhod aate hain