dekhe kahin mujh ko to lab-e-baam se hat jae is waza se us ki mera dil kyunki na phat jae aa jae kahin baad ka jhonka to maza ho zalim tere mukhde se dupatta jo ulat jae ai nala-e-jaan-kah bahut ho chuki bas kar darta hun kahin nind kisi ki na uchat jae dekhe kahin raste mein khada mujh ko to zid se aata ho idhar ko to udhar hi ko palat jae chal baith 'nisar' ek taraf khalq se hokar niklega wo ghar se pa kahin bhid to chhat jae