koi maqam nahin hadd-e-eatibar ke baad kahan main sajda karun aastan-e-yar ke baad uthun to jaun kahan ja-e-pur-bahaar ke baad kahin panah nahin un ki rahguzar ke baad kahan ka azm hai ai dil husul-e-kar ke baad ab aur bhi koi kaba hai ku-e-yar ke baad tabah hum hue bim-o-raja mein aakhir-e-kar kuchh intizar se pahle kuchh intizar ke baad gila nahin hai jafa ka magar sawal ye hai sataenge kise phir aap jaan-nisar ke baad kise khabar hai ki guzregi is asir pe kya qafas mile jise rangini-e-bahaar ke baad sahar ke hote hi rukhsat hua mariz-e-firaq jahan mein kaam hi kya tha ab intizar ke baad kisi se mashwara-e-tark-e-ishq 'saif' na kar na sun kisi ki dil aazmuda-kar ke baad