koi mausam bhi saza-war-e-mohabbat nahin ab zard patton ko hawaon se shikayat nahin ab shor hi karb-e-tamanna ki alamat na rahe kisi diwar mein bhi gosh-e-samaat nahin ab jal chuke log to ab dhup mein thandak aai thi jo suraj ko darakhton se adawat nahin ab wo to pahle bhi sabilon mein nahin hatti thi jis ke bikne ki dukanon pe ijazat nahin ab ab to har shakhs mein barpa hai khud us ka mahshar hai koi aur qayamat to qayamat nahin ab