haqiqaton se hai duniya ko ehtiraaz bahut ki hai mizaj-e-zamana fasana-saz bahut tera ghurur-e-ibaadat tujhe na le dube suna hai padhta tha iblis bhi namaz bahut koi bhi fitrat-e-yazdan ka rakh saka na bharam jo na-saza the wo kahlae pak-baz bahut ye kah rahe the kal aawargan-e-kucha-e-yar adaen aaj bhi us ki hain dil-nawaz bahut unhen shuur-e-mohabbat nahin khuda ki qasam jo log hain teri mahfil mein sarfaraaz bahut meri khushi ka zamana hawa ka jhonka tha mere ghamon ki rahi zindagi daraaz bahut ye husn-o-ishq ka jauhar hai aur kuchh bhi nahin wo khud-pasand bahut hain main be-niyaz bahut