koi mausam ho kuchh bhi ho safar karna hi padta hai idhar se bojh kandhe ka udhar karna hi padta hai kahan jate hain kya karte hain kis ke sath rahte hain hamein apna taaqub umr bhar karna hi padta hai wo apne tan pe sah kar ho ki apni jaan par phir bhi hamein ek marka har roz sar karna hi padta hai khula rakkhen na rakkhen ghar ka darwaza magar 'farrukh' safar aankhon ko ta-hadd-e-nazar karna hi padta hai