ek majzub udasi mere andar gum hai is samundar mein koi aur samundar gum hai bebasi kaisa parinda hai tumhein kya malum use malum hai jo mere barabar gum hai charkh-e-sau rang ko fursat ho to dhunde us ko nil-gun soch mein jo mast qalandar gum hai dhup chhanw ka koi khel hai binai bhi aankh ko dhund ke laya hun to manzar gum hai sang-rezon mein mahakta hai koi surkh gulab wo jo mathe pe laga tha wahi patthar gum hai ek madfun dafina inhin atraf mein tha khak udti hai yahan aur wo gauhar gum hai