koi mausam na kabhi kar saka shadab hamein shahr mein jine ke aae nahin aadab hamein bahte dariya mein koi aks thaharta hi nahin yaad aata hai bahut ganw ka talab hamein is tarah pyas bujhai hai kahan dariya ne ek qatre ne kiya jis tarah sairab hamein jhilmili raushni har-samt nazar aati hai khinchti hai koi qindil tah-e-ab hamein kya pata kaun se janmon ka hai rishta apna dhund hi lete hain har bahr mein girdab hamein din ulat deta hai har khwab ki tabir magar raat dikhlati hai phir koi naya khwab hamein be-aman hum jo hue hain to hamein yaad aaya roz dete the sada mimbar-o-mehrab hamein kash malum ye pahle hamein hota 'alam' dekhna chahta tha wo bhi zafar-yab hamein