na daim gham hai ne ishrat kabhi yun hai kabhi wun hai tabaddul yan hai har saat kabhi yun hai kabhi wun hai gareban-chaak hun gahe udata khak hun gahe liye phirti mujhe wahshat kabhi yun hai kabhi wun hai abhi hain wo mere hamdam abhi ho jaenge dushman nahin ek waza par sohbat kabhi yun hai kabhi wun hai jo shakl-e-shisha giryan hun to misl-e-jam khandan hun yahi hai yan ki kaifiyyat kabhi yun hai kabhi wun hai kisi waqt ashk hain jari kisi waqt aah aur zari gharaz haal-e-gham-e-furqat kabhi yun hai kabhi wun hai koi din hai bahaar-e-gul phir aakhir hai khizan bilkul chaman hai manzil-e-ibrat kabhi yun hai kabhi wun hai 'zafar' ek baat par daim wo howe kis tarah qaim jo apni pherta niyyat kabhi yun hai kabhi wun hai