koi mera imam tha hi nahin main kisi ka ghulam tha hi nahin tum kahan se ye but utha lae is kahani mein ram tha hi nahin jis qadar shor-e-ab-o-gil tha yahan us qadar ehtimam tha hi nahin is liye sadh li thi chup main ne is se behtar kalam tha hi nahin hum ne us waqt bhi mohabbat ki jab mohabbat ka nam tha hi nahin tu kahan raste mein aa gai hai zindagi tujh se kaam tha hi nahin waqt ne la khada kiya us ja jo hamara maqam tha hi nahin is liye khas kar diya gaya ishq aam logon ka kaam tha hi nahin