taqsim tum mutabiq-e-mehnat na kar sake taslim hum mutabiq-e-qismat na kar sake jin ko talash manzil-e-isnaniyat ki thi gumrah un ko ahl-e-siyasat na kar sake tujh pe ki juthe hain ye sabhi lafz khalq ke hum fash apni pak mohabbat na kar sake hum aariyon se unko bachate rahe magar wo aandhiyon se apni hifazat na kar sake ek lau hue khayal to kuchh raushni hui jab tak sharar the chaara-e-zulmat na kar sake tufan zalzala kabhi sailab aa gaya pur-amn to khuda bhi hukumat na kar sake samjha ki tum bhi dekh lo 'jaanib' jahan ko waise ye kaam isa se hazrat na kar sake