koi mujhko takta hai kanakhiyon ke pahlu mein

koi mujh ko takta hai kanakhiyon ke pahlu mein
chehra muskuraata hai hichkiyon ke pahlu mein

hansti muskuraati wo mujh ko takti rahti hai
chand jaisi ek ladki khidkiyon ke pahlu mein

pyar palta hai aksar sakht-dil ke konon mein
barishen barasti hain bijliyon ke pahlu mein

hath chhod jaane ka mah-e-gham december hai
pat-jhaden tadapti hain sardiyon ke pahlu mein

ghar ke manjhe ki dori chhat patang aur bachcha
ab kahan ye milte hain charkhiyon ke pahlu mein

apne biwi bachchon ki yaad mein tadapte hain
sarhadon pe fauji dil wardiyon ke pahlu mein

lahlahate jangal ki khilkhilati barish thi
mor nachte dekhe hirniyon ke pahlu mein

wo hasin bahaaron si bagh mein jab aati hai
phul khilne lagte hain titliyon ke pahlu mein

nind jab khuli 'ulfat' us ki yaad aa baithi
karwaten lin sanson ne garmiyon ke pahlu mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close