koi munh chum lega is nahin par

koi munh chum lega is nahin par
shikan rah jaegi yunhi jabin par

giri thi aaj to bijli hamin par
ye kahiye jhuk pade wo ham-nashin par

lahu bekas ka maqtal ki zamin par
na daman par na un ki aastin par

balaen ban ke wo aain hamin par
duaen jo gain arsh-e-barin par

ye qismat dagh jis mein dard jis mein
wo dil ho lut dast-e-naznin par

rula kar mujh ko ponchhe ashk-e-dushman
raha dhabba ye un ki aastin par

udae phirti hai un ko jawani
qadam padta nahin un ka zamin par

are o charkh dene ke liye dagh
bahut hain chand ke tukde zamin par

nazakat kosti hai mujh ko kya kya
tabiat aai achchhi naznin par

tamanna-e-asar u chashm-e-hasrat
utha rakh ab nigah-e-wapsin par

dhari rah jaegi yunhi shab-e-wasl
nahin lab par shikan un ki jabin par

khuda jaane dikhaegi ye kya rang
duaen jama hain arsh-e-barin par

nigah-e-shauq garam itni ki bijli
na aanch aae kahin us naznin par

mujhe hai khun ka dawa mujhe hai
unhin par dawar-e-mahshar unhin par

'riyaz' achchhe musalman aap bhi hain
ki dil aaya bhi to kafir hasin par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close