udas kar ke dariche nae makanon ke

udas kar ke dariche nae makanon ke
sitare dub gae sabz aasmanon ke

gai wo shab jo kabhi khatm hi na hoti thi
hawaen le gain auraq dastanon ke

har aan barq chamakti hai dil dhadakta hai
meri qamis pe tinke hain aashiyanon ke

tere sukut se wo raaz bhi hue ifsha
ki jin ko kan taraste the raaz-danon ke

ye baat to jaras-e-shauq ko bhi hai malum
qadam uthen ge to bas tere na-tawanon ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close