koi na jin ko dekhna chahe hoti hain taswiren kuchh bigdi jin ko kahte hain wo banti hain taqdiren kuchh us se milna ek guman tha jis ke pichhe umr kati chhod rahe hain phir bhi dekho pichhe hum tahriren kuchh qatil ki pahchan hai mushkil phir bhi ye batlate hain bholi surat mithi baaten aati hain taqriren kuchh tum ne jo talwaren dekhin jang-o-jadal ke kaam ki thin katte hain janmon ke rishte aisi hain shamshiren kuchh lohe sone chandi ki har dhat ki banti hai zanjir mauj-e-hawa mein raqsan hain jo wo bhi hain zanjiren kuchh