udte hain do-chaar parinde manzar dhundla dhundla hai parde par ek gend lagi hai ya suraj ka saya hai nannhi-munni gudiya jaisi surat thi ek ladki ki ab wo lakhon ke majma mein train pakadti chidiya hai qabu mein jitni thin baaten hum ne un ko rok liya kuchh baaton ka munh se nikalna be-qabu ki jwala hai kis se kis ko mat hui ya kis ne kis ko chhin liya ye rishton ki asl hai pyare ye rishton ki mala hai ‘ali-zahir' ke dil se puchho dukh jo us ne jhele hain kandhon par hai bojh sadi ka aankhon mein sannata hai