koi naghma banun chandni ne kaha chandni ke liye ek taza ghazal

koi naghma banun chandni ne kaha chandni ke liye ek taza ghazal
koi taza ghazal phir kisi ne kaha phir kisi ke liye ek taza ghazal

zakhm-e-furqat ko palkon se site hue sans lene ki aadat mein jite hue
ab bhi zinda ho tum zindagi ne kaha zindagi ke liye ek taza ghazal

us ki khwahish pe tum ko bharosa bhi hai us ke hone na hone ka jhagda bhi hai
lutf aaya tumhein gumrahi ne kaha gumrahi ke liye ek taza ghazal

aisi duniya mein kab tak guzara karen tum hi kah do ki kaise gawara karen
raat mujh se meri bebasi ne kaha bebasi ke liye ek taza ghazal

manzaron se bahalna zaruri nahin ghar se bahar nikalna zaruri nahin
dil ko raushan karo raushni ne kaha raushni ke liye ek taza ghazal

main ibaadat bhi hun main mohabbat bhi hun zindagi ki numu ki alamat bhi hun
meri palkon pe thahri nami ne kaha is nami ke liye ek taza ghazal

aarzuon ki mala pirone se hain ye zamin aasman mere hone se hain
mujh pe bhi kuchh kaho aadmi ne kaha aadmi ke liye ek taza ghazal

apni tanhai mein raat main tha magan ek aahat hui dhyan mein dafatan
mujh se baaten karo khamushi ne kaha khamushi ke liye ek taza ghazal

jab rifaqat ka saman baham kar liya main ne aakhir use ham-qadam kar liya
ab mere dukh saho ham-rahi ne kaha ham-rahi ke liye ek taza ghazal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close