sine mein kasak ban ke utarne ke liye hai

sine mein kasak ban ke utarne ke liye hai
har lamha-e-hasil ki guzarne ke liye hai

sanwarega na is sham sar-e-aina koi
ye sham to tere hi sanwarne ke liye hai

namus-e-gulistan ka taqaza sahi kuchh bhi
khushbu to magar qaid na karne ke liye hai

tum ret mein chaho to use khe na sakoge
kashti jo samundar mein utarne ke liye hai

kuchh aur nahin dil ki tamannaon ka hasil
is shakh ka har phul bikharne ke liye hai

soi hui har tis kabhi jag uthegi
jo zakhm hai is dil mein na bharne ke liye hai

taswir-e-gham-e-dil na kabhi mand padegi
mitta hua har naqsh ubharne ke liye hai

ye qafila-e-umr-e-rawan rah-e-talab par
do-chaar qadam chal ke thaharne ke liye hai

'makhmur' ye duniya wo rasad-gah-e-ajal hai
zinda hai yahan koi to marne ke liye hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close