koi nahin hai dekhne wala to kya hua teri taraf nahin hai ujala to kya hua chaaron taraf hawaon mein us ki mahak to hai murjha rahi hai sans ki mala to kya hua badle mein tujh ko de to gae bhuk aur pyas munh se jo tere chhina niwala to kya hua aankhon se pi raha hun tere pyar ki sharab gar chhut gaya hai hath se pyala to kya hua dharti ko meri zat se kuchh to nami mili phuta hai mere panw ka chhaala to kya hua sare jahan ne mujh pe lagai hain tohmaten tum ne bhi mera nam uchhaala to kya hua sar par hai man ke pyar ka aanchal pada hua mujh par nahin hai koi dushaala to kya hua manchon pe chutkule hain latife hain aaj-kal manchon pe ne hain pant nirala to kya hua ai zindagi tu pas mein baithi hui to hai shishe mein tujh ko gar nahin dhaala to kya hua aankhon ke ghar mein aai nahin raushni 'kunwar' tuta hai phir se nind ka tala to kya hua