na-guzir-e-rishtagi sa hai to ho

na-guzir-e-rishtagi sa hai to ho
warna mujh se kya ilaqa hai to ho

wo mujhe dekhe na main paun use
ab koi mera shanasa hai to ho

pur-kashish hain raste ke pech-o-kham
chain pane ka thikana hai to ho

samne hain aasmani wusaten
be-zamini ka zamana hai to ho

chehra-e-ehsas par hai tazgi
aadmi hona purana hai to ho

nazuki ek gul-badan ki sath hai
ab agar pahlu mein kanta hai to ho

apni banti hi nahin hai 'shah' se
aadmi ye shakhs achchha hai to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close