koi nakaam nahin dida-e-tar ki manind

koi nakaam nahin dida-e-tar ki manind
ashk tapken na agar khun-e-jigar ki manind

hausla hai to kabhi shikwa-e-uftad na kar
parda-e-shab se ubhar nur-e-sahar ki manind

raat-din barq-e-bala rahti hai masruf-e-tawaf
ghar kisi aur ka kab hai mere ghar ki manind

bartaraf sehn-e-chaman se mujhe karne walo
kaun kanton ko chunega gul-e-tar ki manind

aankh wale to zamane mein bahut hain lekin
kis ne dekha hai tujhe meri nazar ki manind

kahkashan aur teri rahguzar na-mumkin
han magar hai ye teri rahguzar ki manind

kor-nazron se siwa kor-nazar hain 'zeba'
ye jo aate hain nazar ahl-e-nazar ki manind


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close