mai-kade se na haram se na sanam-KHane se

mai-kade se na haram se na sanam-khane se
aabru hai tere gham ki mere kashane se

zindagi hoti jo gutthi to sulajh bhi jati
ye to kuchh aur ulajh jati hai suljhane se

maut kis kar-e-numayan pe hai itni nazan
shakhsiyat marti nahin shakhs ke mar jaane se

aql wale bade mahdud-nazar hote hain
masala dil ka hai puchho kisi diwane se

raaz tamir ka takhrib mein poshida hai
shahr lete hain janam ganw ujad jaane se

roz uftada hai kya josh-e-numu ke aage
muskuraati hai sahar shab ke siyah-khane se

gham se kuchh aur nikhar jata hai insan ka shuur
jaise sona ho khara aag mein tap jaane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close