koi paigham-e-mohabbat lab-e-ejaz to de maut ki aankh bhi khul jaegi aawaz to de maqsad-e-ishq ham-ahangi-e-juzw-o-kul hai dard hi dard sahi dil bu-e-dam-saz to de chashm-e-makhmur ke unwan-e-nazar kuchh to khulen dil-e-ranjur dhadakne ka kuchh andaz to de ek zara ho nasha-e-husn mein andaz-e-khumar ek jhalak ishq ke anjam ki aaghaz to de jo chhupae na chhupe aur batae na bane dil-e-ashiq ko in aankhon se koi raaz to de muntazir itni kabhi thi na faza-e-afaq chhedne hi ko hun pur-dard ghazal saz to de hum asiran-e-qafas aag laga sakte hain fursat-e-naghma kabhi hasrat-e-parwaz to de ishq ek bar mashiyyat ko badal sakta hai indiya apna magar kuchh nigah-e-naz to de qurb o didar to malum kisi ka phir bhi kuchh pata sa falak-e-tafraqa-pardaz to de manzilen gard ki manind udi jati hain ablaq-e-dahr kuchh andaz-e-tag-o-taz to de kan se hum to 'firaq' aankh ka lete hain kaam aaj chhup kar koi aawaz par aawaz to de