pas se yun aanchal lahraate log guzarte rahte hain mere badan mein qaus-e-quzah ke rang utarte rahte hain apne andar chhupe hue dushman ka hai ehsas jinhen meri tarah wo log bhi apne aap se darte rahte hain hum ne dekhna chhod diye hain ek muddat se aise khwab tabiron ki chahat mein jo khwab ki marte rahte hain rah mein chahe dhup kadi ho ya sae bahen phailaen jin ka kaam guzarna hai wo log guzarte rahte hain lakh shanasa ho par khushbu kis ko dikhai deti hai ek hamin hain der talak aahen jo bharte rahte hain wasta padta hi rahta hai tez hawaon se apna hum be-ghar logon ke aksar jism bikharte rahte hain subh-sawere ghar se 'khawar' nikle ho phir dhyan rahe kali-raat ke lamhe din ka rup bhi dharte rahte hain